Dosto,
Aaj ke yuvao ke liye zindagi ki koi ahimiyat nhi hai kyoki wo jivan ka mahatva nhi samjhte hai. pata nhi kya ho gya hai aaj kl sabhi ko hamesha behoshi ke aalam rahte hai . zindagi to unhe aisi lgti hai mano koi cheez ho jo khatam hone per fir mil jati hai per unhe kon samjhaye ki zindagi wo nayab heera hai jise mil jaye to wo swarga jisse jhut jaye to vo narak .
kyoki vo vyakti yah samjhte hai ki ye jo zindagi hai vah sirf unki hi nahi hai.
balki is zindagi per unke family walo ka bhi haq hota hai or subse zyada unke maa papa ka jinhone use is jahan me laye .'
Aaj kl 10th 12th ke student's bhi is prakar ka kam kr rhe hai ki . unhe dekh kr lgta hai ki shayad un bachho ki neev hi sahi nhi rakhi hai . kyoki unko dekh kr lgta hai ki un me is prakar ka jajba hi nhi ki vah koi pareshani ka samna kr paaye agar hota to wah itni si pareshani se ghabtare nhi . kyo ki ye bt koi mayane hi nhi rakhti ki aap paas nhi huye to aap ka jivan hi nahi .baat to tab hoti jab aap us pareshani ka samna kr ke use maat de dete . gir kr sabhalna hi zindagi hai. yadi aap asafal hote ho to is me marne wali kon si bt h . aap fell is liye huye kyoki aap ki taiyari sahi nhi rahi hogi jiska parinam aap ko mila .
Dosto aasafalta yah sidh krti hai ki safalta ka prayad purn tarike se nhi hua
so plz frnd apni zindagi ki bare me kuch sochne se pahle un ke bare me jarur soch lena
so carefully apna jivan jiyo
Mujhe vishwas hai ki mere ye post pad kr aap kuch apni zindagi ki ahimiyat ko samjhege
GOOD LUCK FRIEND'S
No comments:
Post a Comment